|
|
|
|
| Wednesday 8 October, 2008 |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Man karta hai....
~~~~~~~~~~~
Man karta hai.... Jannat se taron ko zameen pe le aaon... Shayad unki chamak se desh mera chamak jaye... Soyi aankhon mein roshni jaag jaye.... Mera desh aur mahan ho jaye....
Kisi jagah par Rashtra-waad ko khatam kare... To kahin jaat paat ki doori... Kabhi bhrastachaar jaise kitanu ko mare.... To kabhi Nari par hone wali attyachari ka gala ghote....
Man Karta hai..... Jannat se taron ko zameen pe le aaun... Shayad unki chamak se desh mera chamak jaye... Soyi aankhon mein roshni jaag jaye.... Mera desh aur mahan ho jaye....
Jis desh ke logon ne... Satyug mein Sita ko aag mein jhoka... Kalyug mein aaj ek bachchi ko aag mein jhok rahe hain...... Jis desh ke logon ne... Ganga ko maila kiya..... Wo kya apni soch ko swach karenge...
Jis Rajya mein Ram ne janm liya.... Aaj log wahan Ravan ki dikhayi raah par chal rahe hain.... Chal kapat hinsa ko gale lagate dikh rahen hain.... Ram ke naam par Ravan ki puja kar rahe hain...
Man Karta hai..... Jannat se taron ko zameen pe le aaun... Shayad unki chamak se desh mera chamak jaye... Soyi aankhon mein roshni jaag jaye.... Mera desh aur mahan ho jaye....
Bharat ko maata kehne wale... Bharat ki Rajdhani pe Nari ko sare aam beaabroo kar rahen hain... Hum padoshi desh se kya gila karen... Hum khud hi desh ko barbaad kar rahen hai...
Kahin ek aas si nazar aati hai... Kaash ye desh bhi kuch aisa hota.... Ek dweep sa sundar hota... Jo na dharti par hai na Janaat par.. Hai kuch jannat sa jahan pyaar basta hai... Wo koi aur nahi.... Hamara Apna rediff dweep hai...
Man Karta hai..... Jannat se taron ko zameen pe le aaun... Shayad unki chamak se desh mera chamak jaye... Soyi aankhon mein roshni jaag jaye.... Mera desh aur mahan ho jaye...
********************************** ......Mahen **********************************
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|